Thursday, 11 July 2013

Nuruddin Zangi aur Salahuddin Ayubi

Aaj samaj me aksar nav jawan log Salahuddin ayubi banna chahte hain magar qaum me se koyee bhi Nuruddin Zangi banker samne nahi araha hai aur jab tak Nuruddin nahi hoga Salahuddin kamyab nahi hoga.

Sadhan aur sarmaya Nuruddin Zangi ne lagaya tha aur Jang ki hikmat amli Salahuddin Ayubi ki thi

B.J.P. ke pair 5 nao par hai.

disha heen B.J.P. ke pair 5 nao par hai.

(1) Hindutva par rahna zaruri samajhti hai aur Seculersiom ko chhodna nahi chahti hai.

(2) Pichhdi jaati ke arakshan ka virodh karti hai magar Narindra Modi ko pichhdi jati ke kote se pardhan mantry pesh kar rahi hai.

(3) Dalit,Muslim aur isai ka vote bhi lena chahti hai aur inse doori bhi rakhna chahti hai.

(4) Samvidhan par amal karna chahti hai aur uska ulanghan bhi karti rahti hai.

(5) Zinnah par desh todne ka ilzam bhi lagati hai aur zinnah ke mazar par phool bhi chadhati hai.....

Bihar Bodh Gaya mandir me bomb blast

Bihar Bodh Gaya mandir me bomb blast ki ham ninda karte hain aur bihar police ki bhi ninda karte hain ke IB ke zarye jaankari ke baad bhi behtar bandobast nahi kiya,aur unki bhi ninda karta hun jo log dharam ke ke naam par ya apni raajniti ke liye is tarah ka kaam karte hain,Wo log kayar aur bujdil hain jo nirdosh ko nisana banate hain

bharat ki aantrik surakchha ko khatre.


bharat ki aantrik surakchha ko khatre.

(1) hamare desh me Pakistani ghus aate hain ham kuchh nahi karte.
(2) hamare desh me Bangladeshi ghus aate hain ham kuchh nahi karte.
(3) hamare desh me Nepal se mauwadi ghus aate hain ham kuchh nahi karte.
(4) hamare desh me china ke fauji ghus aate hain ham kuchh nahi karte.

(a) Ispar vichar ke liye hamare pass samay nahi hai.
(b) ham masjid,mandir ko ujadne me lage hain.
(c) apni janta ko lootne aur gulam banane me lage hain.
(d) ham awam ki jaan,maal aur izzat lootne me lage hain.
(e) ham danga fasad karke bahaduri dikhane me lage hain.
(f) Ham kala dhan jama karne aur usko chhipane me lage hain.
(g) Ham apne dharamo ko apmanit karne me lage hain.
(h) Ham apne Rupaye ki keemat ghatane me lage hain.
(i) Ham videshi companyio ko lakar swadeshi rojgar khatam karne me lage hain.
(j) ham supari dekar bomb blast kara kar apni virodhi party ko nakara sabit karne me lage hain.

BJP, RSS,VHP se ek sawal ?



BJP, RSS,VHP se ek sawal ????????

jo musalman BJP ko vote deta hai aur RSS,VHP  walo ke ghar me saf safayee karta hai sirf aap log ki nazar wahi musalman desh bhagt hai.

Jo musalman Congress,Biju Janta Dal,Janata Dal (united) ,Rashtrya Janta Dal,Lok Jan Shakti Party,Janata Dal Secular,Indian national lok dal,Samajwadi Party,Bahujan Samaj Party,Rashtiyra Lok Dal,Trinamool Congress,Communist Party of India,Communist Party of India Marxist,Telugu Desam Party,Dravida Munnetra Kazhagam,All India Anna Dravida Munnetra Kazhagam,Maharashtra Navnirman Sena,National  Congress Party,aam aadmi party, Republican Party of India, Bharip Bahujan Mahasangh.ko vote deta hai wo musalman BJP,RSS,VHP walon ki nazar me desh drohi aur atankwadi hota hai.
Jo hindu BJP ko vote nahi deta hai aur RSS,VHP walo ke ghar ki safayee nahi karta hai wo kya hai desh bhagt ya desh drohi ???