Friday, 23 August 2013

Eshwar ki KHOJ,Part ,2





Eshwar ki KHOJ,Part ,1

(1)    pani me rahne wala jivan ho,dharti par rahne wala jivan ho,ya kaayenat me chhipa hua koyee jivan hon,suraj apni garami aur roshni se sansar ki sabhi chijon ki parwarish karta hai,suraj sab ka palan posan karta hai,agar suraj nikalna band ho jaye to sansar me koyee bhi jinda nahi rahega,isliye Kuchh log Suraj ki vandana karte hain kyun ke unko suraj me eshwar ka roop dikhayee deta hai.

(2)    saare sansar me chahe ped pude hon ya kide makode hon, chahe wo pani me rahne wala jivan ho chahe sukhi dharti par rahne wala jvan ho sabhi ko pani se hi jivan milta hai,isliye Kuchh log Pani ki vandana karte hain kyun ke unko pani me eshwar ka roop dikhta hai.

(3)    hawa me hi sabhi ka jivan hai agar kuchh minit ke liye hawa ruk jaye to sare ped paude,kide  makode,insan,janwar aur parinde sab ke sab mitti ka dher ho jayenge,is liye Kuchh log hawa ki vandana karte hain kyun ke unko hawa me eshwar ka roop dikhta hai.

(4)    chahe wo sukhe zamin par rahne wala jivan ho,zameen ke andar rahne wale kide makode hon, pani ke andar rahne wale jivan ho ya udne wala parinda ho, dharti har jivan ke liye khad padarth paida karti aur zarurat me aane wale bahot se padarth bhi paida karti hai,isliye Kuchh log Dharti ko maan kahkar uski vandana karte hain.

(5)    Kuchh log,chand,tare, aag,pahad,aur  murty ki vandana karte hain uski bhi alag alag khoobi aur karan hain.


Jaari hai.

No comments:

Post a Comment