Wednesday, 26 June 2013

Ek hai desh ek ho tax, Baki sab hai chor tax.


Ek hai desh ek ho tax,
Baki sab hai chor tax.

Tex lena sarkar ka adhikar hai aur kitna tax bharna hai uski jankari rakhna har nagrik ka  adhikar hai.

Sarkar ne sirf  unse tax lena chahye jo kamayee karte hain magar aisa nahi hai balke Kashmir  se  kanya  kumari  ke  beech  rahne  wala  har  nagrik,  chahe  woh  bacha  ho, budha  ho,nav jawn ho,aurat ho,mard ho,beemar  ho,kamane wala ho ya be  rozgaar ho,punjipati ho ya bhikhari ho,in sabhi logo se alag alag sakal me kayee tarah ka chor tax  wasoola  jaraha  hai.

Janta ko bazaar se kharidi karni padti hai aur  jis chij ki wo kharidi karte hain uske lable par likha hota hai including all taxes,aise hi kayee tarah ke chor tax har mal par lage hote hain aur Bacha, budha,beemar aur  bhikhari  se bhi chor darwze se tax wasoola jata hai,

Aap koyee bhi saman kharido chahe wo aaj paida hone wala bachche ka dawa ho ya murde ke kafan dafan karne ka saman ho janta chor tax bharti hai.

sarkari gadi se chalet ho apni gadi se chalet ho, cycle se chalet ho ya road par paidal chalet hon to bhi  janta ko chor tax ada karna padta hai,

raat me jab aap sote ho tabhi aap A.C. ya pankha istemal karte hain to uska electric charge to aap bharte hain magar uske saath  kayee tarah ka chor tax bharne ke baad hi aap ka A.C aur pankha chalta hai,magar sone ka tax unko nahi bharna padta hai jo log A.C.ya pankhe ka istemal nahi karte hain matlab jinke pass electric connection nahi hai.
aap bottle ka pani pite hon,kunwe ka pani pite hon, nal ka pani pite hon,ya pump ka pani pite hon uspar bhi janta ko chor tax dena padta hai.

Desh  ke  sabhi  I.T. Adhikari,sabhi  Rajya  sarkar  aur  Bharat  sarkar  se  desh  ka  har  nagrik  yah  janna  chahta  hai  ke  uspar  kis  tarah  ka  kitna  tax  lagu  hota  hai ? aur  kis  sakal  me  kitna  tax  us se  wasula  ja  raha  hai ?

Bharat sarkar se anurodh hai ke sabhi tarah ke chupe huye tax ko hatakar ek jahir tax lagu kare jis se manhgayee,garibi,aur kala dhan kantrol me rahega.

No comments:

Post a Comment