us qaum ka anjam barbadi yaqeeni he
us qaum ka anjam barbadi
yaqeeni he
england ke badshah rechard awal ne jab tesri saleebi
jang ladi wo ek badi fauj lekar sultan salahuddin ayubi ke muqabile ke liye
nikla tha rechard ke fauj ke bahut charche the ayubi ki fauj ki himmat past ho
rahi thee.
sultan salahuddin ayubi ne
apne do khas jasuson ko talab kiya aur kaha dushman ke halat malum karo ye dono
gaye aur wapis aakar sultan se kaha ke rechard ki fauji sharab w kabab me mast
hen aur unke rahnuma mazhabi bahes me mashgool hain,hazarat eesaa ka paishab aur
pakhana paak tha ya na paak tha ye report
sunne ke baad sultan salahuddin ayubi ne apne fauji afsaron ko bulaya aur ek
taqreer ki.
khuda ki qasam rechard ki
fauj ruswa hokar rahegi, jiske khawas aish me hun aur rahnuma fuzul bahes me
mashgul hun khuda ke yahan inka yahi muqaddar hai tum allaha per bharusa rakho
aur aage bado yaqeenan kamyab hoge,uske baad fauj aage badi aur rechard ki fauj
ko shikast hovi.
kisi qaum ki zawal hone ki
khaas pahchan he ke uske mazhabi rahnama fuzul baheson me mashgul hun aur khaaas
aish w aram me mubtela hojaen.
Yeh ek sachchi haqiqat hai wahi haal muslim qaum ka hai iski tabahi pakki hai yaqi ni hai
ReplyDelete