Saturday, 7 September 2013

Hamari aur logo ki jankari ke liye kuchh sawal


Hamari aur logo ki jankari ke liye kuchh sawal hai aur umeed hai ke aap log sawal ka sahi jawab zarur denge

(1)    Mahatma Bodh ji, khud ne Suraj,Chand,Taare,Paani, Aag,Hawa,Dharti, Pahad,Murty,ki  vandna kabhi kye they, ya kisi se karwaye they kya??.
(2)    Guru Nanak ji, khud ne Suraj,Chand,Taare,Paani, Aag,Hawa,Dharti, Pahad,Murty,ki  vandna kabhi kye they, ya kisi se karwaye they kya??.
(3)    Swami Mahavir ji, khud ne Suraj,Chand,Taare,Paani, Aag,Hawa,Dharti, Pahad,Murty,ki  vandna kabhi kye they, ya kisi se karwaye they kya??.
(4)    Sirdi Sai Baba ji, khud ne Suraj,Chand,Taare,Paani, Aag,Hawa,Dharti, Pahad,Murty,ki  vandna kabhi kye they, ya kisi se karwaye they kya??.
(5)     Mahtma jyoti ba Phule ji, khud ne Suraj,Chand,Taare,Paani, Aag,Hawa,Dharti, Pahad,Murty,ki  vandna kabhi kye they, ya kisi se karwaye they kya??.
(6)     Chatrapati Sahu Maharaj ji, khud ne Suraj,Chand,Taare,Paani, Aag,Hawa,Dharti, Pahad,Murty,ki  vandna kabhi kye they, ya kisi se karwaye they kya??.
(7)    Kabir Das ji, khud ne Suraj,Chand,Taare,Paani, Aag,Hawa,Dharti, Pahad,Murty,ki  vandna kabhi kye they, ya kisi se karwaye they kya??.
(8)    Rahim Das ji, khud ne Suraj,Chand,Taare,Paani, Aag,Hawa,Dharti, Pahad,Murty,ki  vandna kabhi kye they, ya kisi se karwaye they kya??.
(9)    Baba Saheb Ambedkar ji, khud ne Suraj,Chand,Taare,Paani, Aag,Hawa,Dharti, Pahad,Murty,ki  vandna kabhi kye they, ya kisi se karwaye they kya??.
(10)Periyar  ji, khud ne Suraj,Chand,Taare,Paani, Aag,Hawa,Dharti, Pahad,Murty,ki  vandna kabhi kye they, ya kisi se karwaye they kya??.
(11) Dr. Ram Manohar Lohia ji, khud ne Suraj,Chand,Taare,Paani, Aag,Hawa,Dharti, Pahad,Murty,ki  vandna kabhi kye they, ya kisi se karwaye they kya??.
(12) Mananye Kansi Ram ji, khud ne Suraj,Chand,Taare,Paani, Aag,Hawa,Dharti, Pahad,Murty,ki  vandna kabhi kye they, ya kisi se karwaye they kya??.

Aastana


Kisi ko aankh nahi hoti hai,kisi ko haath pair nahi hote hain,kisi ko dhan daulat nahi hoti hai,kisi ko aulad nahi hote hain,kisi aulad beemar rahti hai,kisi ko nokri aur rozgar nahi hota hai,kisi ke ghar aur dukan nahi hota hai,kisi ki shaadi nahi hoti hai,kisi ka talak ho jata hai,kisi ko beemari hoti hai,koyee karo baar me fail ho jata hai,har insane zindgi me kabhi na kbhi aur kisi na kisi mosibat me padta hai aur jab wo mosibat me padta hai to wo kisi na kisi hasti ko pukarta hai aise moshibat ke maron ko gumrah karna aur unko thagna bahot asaan ho jata hai

Aise garazmand log ko jab koyee  kahta hai falan ke asatane par chale jao tumari takleef khatam ho jayegi,falan baba ke paass chale jao unki dua se tumari takleef door ho jayegi,falan devi ki mandir me mannat mang lo tumari mushibat door ho jayegi,aisi mosibat ki halat me marta sab kuchh karta hai,hamne dekha hai ke takleef wala insane aisi jagah par jata hai jis se use umeed bandhayee jaati hai.

Dunya me hamesa ke liye na to sukh rahta hai aur na dukh rahta hai ye awa gawan ka silsila chalta rahta hai aur isi awa gawan me bahot se log maan lete hain ke falan manta manne se ye mera takleef door huyee hai

Hazrat Ibrahim ka chhota sa parichay


 Hazrat Ibrahim ka chhota sa parichay

Sahenshah Namrud ke zamane me Aazar naam ka  vekti  tha jo murty banane ka dhanda karta tha aur isi dhande se uska ghar sansaar chalta tha aur Aazar ke bete ka naam Ibrahi tha.

Ibrahim ko bachpan se hi murty me dilchasbi nahi thi aur jab unhe mauka milta tha to wo murty ke gale me rassi bandh kar khel khela karte the aur jab wo jawan huye to unhone shahenshah Namrud ke bade but khane me ek badi murty ko chhodkar saari murtion ko tod dala aur jab Namrud aur uske logo ne Ibrahim se poochha ke kya tum ne toda hai to unhone jawab diya ke us badi murty ne sab ko toda hai.

Logon ne kaha ke badi murty kuchh nahi bata sakti ke kisne toda hai,tab Ibrahim ne kaha ke jab wo bol nahi sakti ya bata nahi sakti aur apne sathion ko bacha nahi sakti hai to aap log unki pooja kyun karte ho?,ispar Shaheshah Namrud aur uske sipahi aur dhongi log Ibrahim se naraz ho gaye aur unhe jalti aag me dala magar wo bach gaye.

Sansar ki sab se badi khoj eshwar ki khoj rahi hai,Hazrat Ibrahim ne bhi eshwar  ki khoj me pahle chand sitaro aur suraj ko khuda mana tha aur fir bhi unki eshwar ki khoj jaari rahi,aur jab Hazrat Ibrahim ko chand sitaro aur suraj jaiso me eshwar nazar nahi aaya to fir in sabko chhod kar in sab ko paida karne wale eshwar ki talash me lag gaye aur unki eshwar ki khoj poori huyee aur unhone paya ke eshwar ek hai na usko kisi ne paida kiya hai aur na uski koyee aulad hai.

dunya ka pahla dharam asthal Makkah  hai,uski pusti ke liye Quran ki ek aayat pesh kar raha hun,, Be-shak sabse pahli ebadat gaah jo insane ke liye taamir huyee hai woh wahi hai jo makka hai….Surah Al Imran  ayat no 96 (Quran)

 Makkah ko Hazrat Ibrahim aur unke bete Hazrat Ismail ne apne hathon se banaya tha aur jab unho ne banaya tha tabhi usme koyee murty nahi rakhi gayee thi balke nirangkari eshwar ki ibadat hoti thi magar ye bada azeeb wakiya hai ke jis Hazrat Ibrahim ne apni zindgi me murty pooja ki gulami se insaniat ko azad karaya tha magar kuchh zamane ke baad unhi ki banaye huye ibadat gaah makkah me 360 murty bitha di gayee aur pooja hone lagi aur fir kuchh zamane ke baad aur 1400 saal pahle usi  makkah ko Hazrat Mohammad ne 360 murtion se fir se khali karaya jo aaj tak khali hai.

jab insan dharam badalta hai tab apna pooja badalta bhi badalta hai


Isan jab apna dharam badalta hai to use bahot badi kurbani deni padti hai,use apne dhan dawlat ko chhodna padta hai,apne ristedaron ko chodna padta hai,apne doston ko chhodna padta hai,apne maan baap ko bhi chhodna padta hai,apni bivi se bhi rista todna padta hai,apni aulad ko bhi chhodna padta hai,aur agar watan ne wafa na ki to wo watan ko  bhi chhod deta hai,

agar koyee akela vekti dharam badalta hai to wo apni ibadat ke tarike ke saath saath apna dharam asthal bhi chhod deta  hai aur agar bahot saare log milkar samuhik taor par dharam badla jata hai to log jis dharam ko apnate hain usi dharam ke motabik  apne poorane pooja sthal ko todkar  uski jagah par dusra pooja asthal banalete hain.

Bharat me islam dharam svikar karne ki ek hod si lagi thi aur poore gaon ke gaon islam dharam svikar karne lage they aur usme logo ne apne poorane dharam asthal ko tod kar naya dharam asthal me badal liya gaya tha.

Islam Kisi dusre ki pooja asthal ko zabardasti todkar masjid nahi banaya jasakta hai balke dusre dharam asthal ke hifazat karne ki kosiss karta hai is sandarbh me quran ki ek aayat pesh kar raha hu jispar gaur Karen….
agar allah logon ko ek dusre ke zarye defa na karta rahe  to khan-kahen aur girja ,aur moabd aur masjiden jin me allah ka kashrat se naam liya jata hai ,sab mismark kar di jayen ,,Quran ki Surah Al Haj No22 Aayat No.40

kuchh log jhoota propaganda karte hain ke musalmano ne hazaro mandir  todkar masjid bana liye hain wo aisa nahi hai balke jin log ki mandir thi wahi log ne jab dharam badla to unho ne hi apne poorane dharam asthal ko todkar naya dharm ashtal bana liya hai.

islam aur murty pooja



islam murty pooja ko zabardasti rokne ki kosiss nahi karta hai is sandarbh me mai Quran ki ek aayat pesh kar raha hu jis se jahir hota.

mushrkeen ke peechhe na pado-agar allah chahta to yah log shirk na karte-tumko hamne unpar rakhwala mokarar nahi kiya hai aur na tum unpar hawaldar ho............surah Al Anam No.6 Aayat No.107.

Islam matlab deen-e-fitrat (sanatan dharam) murty pooja ko gulami ki zanzeer manta hai aur gulami ki har zanzeer ko todna chahta hai,isliye logon ko murty ki gulami se jagruk karta hai,lekin iske bawzood bhi jabtak ke gulam khud gulami se azad hone ki sifarish na kare zabardasti kisi se murty pooja ko chhudana nahi chahta hai aur apna hokum nahi thopta hai.