Saturday, 7 September 2013

vandana aur pooja


Koyee bhi  vekti  ho aur wo vekti jiski bhi vandana aur pooja Karna chaahta hai to wo kar sakta hai magar  wo kisi dusre vekti ki vandana ko rok nahi sakta hai aur na to kisi vekti  se zabardasti apni pasand ki vandana kara sakta hai,jo kaam prem aur asani ho wo dharam se juda hua kaam hota hai aur jo kaam jor zabardasti se kiya aur karaya jaye wo kaam adharm ka hota hai.

kudrat ne sansar me itne saare chamatkar bana rakhe hain ke insan un sabhi chamatkaro ki vandna apni zindgi me sirf ek baar karne ki kosiss kare magar poora nahi kar sakta hai, kyun ke har mod aur har kadam par koyee na koyee akarshan aur karan mojood hai jiski log vandna karte rahte hain isliye Har inasan ke liye nirangkar eshwar ki  vandna hi theek hai.

No comments:

Post a Comment