Saturday, 7 September 2013

jab insan dharam badalta hai tab apna pooja badalta bhi badalta hai


Isan jab apna dharam badalta hai to use bahot badi kurbani deni padti hai,use apne dhan dawlat ko chhodna padta hai,apne ristedaron ko chodna padta hai,apne doston ko chhodna padta hai,apne maan baap ko bhi chhodna padta hai,apni bivi se bhi rista todna padta hai,apni aulad ko bhi chhodna padta hai,aur agar watan ne wafa na ki to wo watan ko  bhi chhod deta hai,

agar koyee akela vekti dharam badalta hai to wo apni ibadat ke tarike ke saath saath apna dharam asthal bhi chhod deta  hai aur agar bahot saare log milkar samuhik taor par dharam badla jata hai to log jis dharam ko apnate hain usi dharam ke motabik  apne poorane pooja sthal ko todkar  uski jagah par dusra pooja asthal banalete hain.

Bharat me islam dharam svikar karne ki ek hod si lagi thi aur poore gaon ke gaon islam dharam svikar karne lage they aur usme logo ne apne poorane dharam asthal ko tod kar naya dharam asthal me badal liya gaya tha.

Islam Kisi dusre ki pooja asthal ko zabardasti todkar masjid nahi banaya jasakta hai balke dusre dharam asthal ke hifazat karne ki kosiss karta hai is sandarbh me quran ki ek aayat pesh kar raha hu jispar gaur Karen….
agar allah logon ko ek dusre ke zarye defa na karta rahe  to khan-kahen aur girja ,aur moabd aur masjiden jin me allah ka kashrat se naam liya jata hai ,sab mismark kar di jayen ,,Quran ki Surah Al Haj No22 Aayat No.40

kuchh log jhoota propaganda karte hain ke musalmano ne hazaro mandir  todkar masjid bana liye hain wo aisa nahi hai balke jin log ki mandir thi wahi log ne jab dharam badla to unho ne hi apne poorane dharam asthal ko todkar naya dharm ashtal bana liya hai.

No comments:

Post a Comment