Eik hadees ka mafhoom hai ki huzoor s.a.w se
sahaba ne poocha kayamat ke qareeb hamari kya halat hogi to apne farmaya
tumhar tadad bahot ziyada hogi lekin tumhara parbhao nasht ho chuka
hoga yani duniya ki kaumo par tumhara roab galib nahi hoga aur tumhari haisiyat bhoose ki manind hogi ki phoonk do to urr jaye.
eik jagah ye bhi kaha ki duniya ki kaume tumhare oopar bhooke bhriyoun ki tarah toot parengi,aur tum kuch na kar sakoge.To lagta hai ki aaj ham usi daur se guzar rahe hain,
duniya me hamari tadad to barhi hai lekin musalmano wali quality na rahi, isiliye ham zaleel o rusua ho rahe hain. Eik daur tha ki hamare hi mulk me ham thori tadad me the lekin hamare ander perhezgari aur khauf e khuda tha, insaniyat thi, ham khidmat e khalq ka kaam karte the, jihad karte aur insaf kayam karte the , samaj me burayi ko panapne se rokte the , to log hamari izzat karte the, hamare paas insaf ke liye ate the aur aaj ulta ho raha hai, ham ro rahe hain, pit rahe hain, be izzat ho rahe hain aur zalim hukmarano se insaf ki bheek mang rahe hain, phir bhi hame rahat naseeb nahi ho rahi hai.
Hamare aur mushriko me koi fark na raha, ham sabhi wo kaam kar rahe hain, jisse hame roka gaya tha aur ham rehmat nahi zehmat ban gaye hain. Na hamare ander kaumi jazba baki raha aur na sachchayi, imandari aur usoolpasandi.Ham bhi rishwatkhor ho gaye hain, paise ke bhooke ho gaye hain, hamare ander bhi murawwat na rahi. Ham bhi lootpat, bharashtachaar me lipt hain. Gareebo ki, beemaro ki madad nahi karte, to hamara haal bura hi hoga aur zalim ham par toot parenge aur khuda ki madad bhi hasil na hogi, Allah hamari islah kare aur hidayat de Ameen.
Azhar Shameem

No comments:
Post a Comment