Aaj duniya mein insaniyat sisak rahi rahi hai
Charon janib qatl o gharat-gari zulm o tshaddud ka xor hai Izzaten
nilaam ho rahi hain Masoom bachche khwateen naujawan zaeef koi bhi
mehfoz nahii Sisakti insaniyat ko agar aaj koi panah mil sakti
hai To sirf aur sirf Allah ki aakhri kitaab Quran e hakeem ki taleemat
ke zer e saya hi insaniyat ko chain o sukoon mil sakta hai Islam hi wo
wahid rasta hai jo kul qayenaat ke liye nijaat ka zariya hai Islam Apna
role kese adaa kare? Islam Apna role us waqt tak adaa nahii kar sakta
Jab tak wo ek munazzam society (muashrey) ki shakal mein khud ko pesh na
kare.. Tamam Muslim aqwaam ko ek ummat ban k Islamic talimaat ke
mutabik yani Quran aur seerat e Muhammad s A wasallam ki raushni mein
Apne shab o roz ke masayel ko hall karne ki jadd o jahed karna hogi..
Ummat e Muhammadiya ka wajood maujooda daur mein kahiin nazar nahi aata
Musalman qaumen nazar aati hain Maujooda daur mein qaum mulk rang nasal
aur Zuban (language) ki buniyad par qayam hain... Aaj Musalman hain koi
Arbi Musalman Koi hindi Musalman koi sindhi Musalman koi pakhtoon
Musalman koi Iranian Musalman koi Egyptian Musalman koi Punjabi Musalman
koi sayyad Musalman koi pathan Musalman koi mughal etc etc Muslim ummat
ka wajood hai bhi kahiin Quran ne Musalmano ki jamiat k liye ummat ka
lafz istemal kiya Ummat banti hai ek Allah par uske Rasool s A wasallam
par uski kitaab par eimaan o yaqeen se Phir koi kisi b mulk qaum rang ya
nasal ka ho wo ek barabar hai ummat ke afraad ki yaksan zimmedari
yaksan huqooq hotey hain Magar afsos sad afsos aaj Beshumar Muslim
qaumen nazar aati hain... Magar ummat e muhammadiya s A wasallam ka
wjood nazar nahi aata.. Agar aaj islam ko dobara duniya mein wo kirdaar
adaa karna hai jiski muntazir kul insaniyat hai To sabse pahle ummat e
muhammadiya s A wasallam k asal wajood ko zinda karna hi hoga.
Shekh Muhammad Amir Quraishi
Shekh Muhammad Amir Quraishi
No comments:
Post a Comment