Sunday, 31 March 2013

> siyasat ....... >

> siyasat ....... > > TUM BEHtareen ummat ho jise nau-e-insani ki raahnumaii ke liye barpa kiya gaya hai tum neki ka hukm dete ho aur buraaiiyon se rokte ho aur allah par kamil yaqeen rakhte ho... Quran e hakeem > > Yani logon ki bhalaai ke liye kaam karna buraaiyon aur Zulm ke khilaaf sadaa-e-ehtejaaj buland karna aur zaalim ke khilaaf tab tak jadd o jahed jari rakhna jab tak wo Zulm se baaz na aa jaye ya zalim taaqaton ka safaya na ho jaye .. ye tamaam ummAt e muslima ka farz e mansabi hai aur haqiqat mein ye hi asal siyaasat hai . > aaj hum siyasat ko ek buri aur gandi shay samajhne lage hain . > Iske zimmedaar hum khud hain jab tak siyasat ka wo maqsad o mafhoom hum apne zehan o mizaaj mein dakhil nahiin karenge jo maqsad o mafhoom hame 1434 saal pahle quran o hadees ke zariye Alaah ne hame Samjhaya thA tab tak hum apne zaati mafaadaat o aghraaz ke husul mein koshan or meyar e zindigi ko buland o balaa karne mein lage rahenge.. > Khaas kAr hamara wo tabqa jo deen ki samajh rakhta hai quran o hadees ki sahi samajh rakhta hai woh tabqa siyasat ka naam sun kar hi taubah karne lagta hai.. > Quran mein Allah farmate hain ""ay eimaan walon ad'l ke qiyaam ke liye khadey ho jao aur Allah ki gawahi dene wale bano"" > hum Ad'l qayam tab hi kar sakte hain jab hamare haath mein quwwat aur ikhtiyaraat honge ,quwwat aur ikhtiyaraat miltey hain hukumat se ,hukumat ke liye siyasat laazim hai.. > maujooda daur mein hindustan mein daliton ki tahreek ek misaali haisiyat rakhti hai > ek tanha kanshi raam ne tamaam daliton ko ek banner ke niichey jama karke up jo ki mulk ka sabse bada sooba hai uski hukumat par apna qabza kar liya aur myawati ko wazir e aala ke ohde par baitha kar hazaaron saal se dabe kuchle daliton me ek fikr paida kar di jo unke duniya se rukhsat hone ke baad bhi qayam hai aaj bahujan samaj party mahaz up me hi nahii balki pure hindostan me daliton ki numainda party ki haisiyat se tasleem ki jaati hai.. > musalmano ka almiya ye hai ki hum apne liye to sochte hain ki jo karen sab thiik hai lekin hum apne raahnumaaon ki choti se choti ghalti par bhi us se badgumaan ho jaate hain unko khule aam aam laan-taan karne lagte hain.. > zaati mafadaat zaati bughz ki bina par kisi ki izzat o waqar ki dhajjiyan udaa dena hamara pasandeeda mashgala ban gaya hai... > aur hamare siyasi qayed bhi zaati mafaadaat ki khatir roz ek naya jhanda ek nayii party ke saath nazar aatey hain.. > aaj siyasi qayedon ki muslim siyasi jamaton ki kami nahiin balki siyasi qayedon mein muslim siyaasi jamaton mein islami fikr ka fuqdaan hai > hamari siyasi jamaten election se kuch pahle kuhub shor sharaba karti hain or election khatam shor khatam > Abhi 2014 mei'n parliament ke aam intekhabaat honey waley hain mulk ki diigar siyasi jamaat'on ki tarah beshumar Muslim siyasi jamaate'n bhi maidaan mei'n dikhaii dene lagii'n hain Sabko musalmano'n se hamdardi ka khair-khwahi ka dawa hai lekin koi bhi jamaat millat ke mafaad ke liye qurbani dene ko tayyar nahii'n koi bhi qayed khud ke siwa kisi ko qayed maan-ney ko tayyar nahii'n.. koi munazzam shuraaii nizaam nahiin koi mustaqbil ka programme nahiin koi kuch kehta koi kuch kehta hai > ab tak in jamaaton ne ummat mein bikhrao aur gehra karne ka kaam kiya hai > zarurat iss baat ki hai hamari tamaam siyasi jamaten or unke qayed sirf or sirf Allah or uske Habib Hazrat Muhammad .sa.wasallam ke manshoor ke mutabiq ek jamaat banayen or jiski ek aysi majlis e shura ho jis mein musalmano ke tamaam maqtab e fikr ke danishwar or siyasatdaan shareek hon.. > bihar ki imarat e shariya or deeni taleemi council ki misaal hamare saamne hai > niyat agar sahi hogi tou allah kaamyaabi se zaroor nawaza karte hain > quraan ki aur hadees ki taleemaat se doori ke sabab awaam o khawas dono hi islami siyasi fikr o shaor se nawaqif hain.. > musalmano ke tamaam masayel sirf or sirf quran o hadees ki raahnumaaii se hi hall ho sakte hain iske siwa koi dusra hall nahii hai > hum ne maujooda ravish ko hi agar jaari rakha to hamare naujawan ayse hi jhoothe ilzamaat me giraftaar hote rahenge hamari masajid ki behurmati hoti rahegj hamari muashiyat ko tabaah kiya jata rahega hamare taleemi nizaam ko bigadney ki saazishen hoti rahengj hamare shahron ko aatankwaad ka adda keh kar badnaam kiya jata rahega Hamare naujawan ba-salahiyat officers ko qat'l kiya jata rahega jaisa haal hi mei'n up ke pratap garh mein naujawan I.P.S shaheed zia-ul-haq ka qat'l kiya gaya C.O civil lines allahabad par jaan-lewa hamla kiya gaya > aur hum chai or paan ki dukaanon par sirf zubaani bahes o mubahisa mein ulajh kar aapas mein jootam paizaar kartey reh jayenge.. >

"na samjhoge tou mit jaogey ay hindostan walon
tumhari daastan tak na hogi daastanon mein"
> Allah hum sab ko Islamic siyasat ka sahi samajh ataa kare ummat mei'n ittehad ka jazba ek dusrey ke liye isaar o qurabani ka jazba paida kare ... Aameen

Shekh Muhammad Amir Quraishi

No comments:

Post a Comment