Friday, 19 April 2013

chunav me kyun galti kar jaate ho ?

(1)jab ham kapda kharidte hain to dekhte hain ke kapda hamare bachche ke badan ko chubhega to nahi.

(2)jab ham juta ya chapel khaidte hain to dekhte hain ke bachche ke pair ko kaatega to nahi.

(3)jab ham khana banate hain to dekhte hain ke woh hazam kar payega ya nahi .

(4)jab ham koyee cheej pine ko dete hain to dekhte hain ke garam to nahi hai jis se woh jal jaye ya itna thand to nahi hai use sardi na ho jaye.

(5)ham unhe thandi,garmi,dhoop,baarish se bhi bachane ka bando-bast karte hain.

(6)ham inke liye achhe doctor ,achhe teachar,chunte hain.

(7)ham hamari aukaat ke motabik sab kuchh behtar chunte hain.

(8)Jab ham apne nanhe munne bachche ke liye kuch kharidte hain ya banate hai tab ham bahot dhiyan karte hain. Magar ?.

lok sabha,vidhan sabha,jilla parishad,nagar palika,panchayat samiti me jane wale log hamare nanhe muno ki bhavishya likhne wale log hote hain ham unka chunav karne me kyun galti kar jaate ho ?

No comments:

Post a Comment