Monday, 7 January 2013

20 January sirf AIMM ki ek meeting nahi balki ek Inqalaab hai



¤ Mat pooch ke kya haal hai mera tere peechhe ¤

¤ Too dekh ke kya rang hai tera mere aage ¤


Abhi tak facebook ki jung, qalami jazbat ki jung,

Nek iraado ki jung, siyasi Angraaio ki jung,

Koh se chillaane ki jung, Ek mahdood daire ki jung,

facebook pe ana ki jung, khud ko khudadaad iklauti taaqat banane ki jung,

sher ki dahaad se bekhauf sannate ki jung,

electronic media mein qahar bapaa kar dene ki jung,

kisi faisle par pahunch jaane k jazbaat ki jung,

qaum ko bedaar karne ki jung, aankho me muslim mohabbat se labrez aansuo,n ki jung,

qaum ke liye kuch kar guzarne ki umang ki jung wagaira wagaira se labrez hokar hamari mulaaqaate,n. computer, laptop, i phone aur tamam tarah ke mobiles par hoti rahi hain. magar ab asli jung ka waqt aa chuka hai jab ham awaam ke rubaroo honge aur awaam ki ummeedein aap se wabasta hongi aur aap awaam se.

Aane wali 20 January sirf AIMM ki ek meeting nahi balki ek Inqalaab hai jo apni siyasat apni qayadat k liye imtehaan hoga. Aaiye halaat se datkar muqabla karein aur azm kare k jis josh se ham facebook par apne jazbaat ko ayaa,n karte rahe hai usi josh ko barqaraar rakhte hue qaum ki khidmat me jaanisaari ka jazba dikhaayein aur Hindustan ki tamam siyasi partiyo ko bata de k ham bedaar ho chuke hai ab tum apne khemo ko sambhal sako to sambhal lo kyunki ye siyasi zalzala hai jo muslim virodhiyo ko aaeen ke daaere mein tabaah karne ki quwat rakhta hai aur apne mustaqbil ko apne haatho sanwaarne ki quwat bhi.

AIMM ZINDABAD

Apka Sathi

Khan Hamid Raza

¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
http://www.facebook.com/khan.h.raza

No comments:

Post a Comment