Tuesday, 1 January 2013

Saabitqadmi ke saath

Saabitqadmi ke saath datey rahna bhi haalaat ka taqaaza hai. Mushkilaat ka samna karna pad sakta hai waqt bhi kaafi sarf hoga magar sabr tahammul se kaam lena aur apne maqsad ki jaanib gaamzun hona woh bhi mazbooti ke sath. Insha Allah kamyabi hamare hath hogi jab ham awam ek sath honge.
AIMM shab o roz taraqqi ki janib qadam barha rahi hai aur ye taraqqi kisi ek shakhs ki ataa karda nahi balki Mushtarak hai. Ismail saheb ne buniyad dali aur mazbooti se daali aur qaum ne mazbooti se sath diya jiski bena par aaj hamara safar yahan tak pahuncha magar manzil abhi door hai, raahein kathin hain, raasto mein rukawatein bahot hai, safar kaanto bhara hai bada rahbar koi nahin fir bhi ghabraane ki zaroorat nahi kyunki misaal apke saamne hai k Reliance company kahan se uthi aur aaj kis maqaam par hai. Bas zaroorat sabr ke sath jazbe ki hai. Jazba bedaar rakhiye
Sabr Allah ata farmayega jo hamari kamyabi ki daleel hogi.

Duaao ka Taalib
Khan Hamid Raza

No comments:

Post a Comment