All India Muslim Mahaz ki aakhir
zaroorat hi kya hai. Kyun taskil payi AIMM, Kya kirdar hoga AIMM ka siyasat k
maidan mein, Kitne damdar background ke saath janm liya AIMM ne, Kya waqai 2014
ke election mein AIMM ka rol hoga, Kya sachmuch murda Muslim qayadat rooh foonk
sakenge ye mutthi bhar log?????????
Aksar main tanhai me socha karta tha ab to maine apne aapko dil se AIMM ke hawale kar diya. Jab bhi qaum me bikhrao aaya to kisi na kisi ne is dharti par janam liya jisne ek hone ki baat ki magar wah ekta bina kisi qaumi mafad ki thi. Hamein Jan Sangh se daraya gaya aur hamare bikhrao ko rok kar Congress ki jaanib mod diya gaya. Qaum ka koi fayeda hoga ya nahi ye kabhi hamare rahnumao ne socha hi nahi bas Pandit Nehru ne daraya musalmano Jan Sangh tumhe khtm kar degi hamare sath aao aur hamare leaders ne wahi message qaum ko diya aur qaum bhed bakrio ki maanind sar jhukaaye chalti rahi ye bhi na dekha aage khaai hai. Indira Gandhi ne bhi yahi kiya magar wah re hamare neta ki woh sirf ohde paane ki laalach mein qaum ko andheri khaaii ki janib kheech laaye. Musalmano ne congress ka daaman sirf 1975 mein chhora jab Indira ,Sanjay aur Bansi lal ne jabran nasbandi shuru ki. 1977 ke chunaao mein Janta Party ke sath khade ho gaye jab ki wahi wali jan sangh ka isme vilay hua tha.
Uske baad se hamein RSS aur BJP de daraya jaane laga magar is baar darane walo mein aur bhi partiya shaamil ho gayi.
Fir musalmano ka ek bada saudagar aaya jo ooper se hamdardi dikhata raha aur andar andar mk sudarshan aur deegar rss ke logo se milkar hamari jadein kaat ta raha aur aaj bhi kaat raha hai aaj usi aulad Modi se mulaqat karke muslim virodhi neeti chala raha hai jisne wada kiya tha sarkar bante hi 6 mahine ke andar 18% reservation denge aur us pe qadam uthaane ki soch bhi nahi payi jati aur na muslim mla hi use yaad dilaate hain.
Magar ab dekhne mein aa raha hai ki hamari qaum aankhein kholne lagi hai aur neend tooti tooti si nazar aane lagi hai, siyasi bedari ne angraaiyaa,n leni shuru kar diya hai.
Aaj hamari qaum bahot peechhe rah gayi jabki zamana aage nikal gaya. Aise mein sakht zaroorat thi ki ek mahaz ki tashkeel ki jaaye aur apne bikhrao ko raoka jaye. Jab 22% Ki sc apni hukumat chala sakti hai woh bhi hamare votes ki dam par, jab 9% yadav se cm ban sakta hai hamare votes ki badaulat to ham 25% hokar kyun bhikhario ki tarah aas lagaye darwaze par khade rahein. Ham bhi satta mein hissedari ke utne hi haqdaar hai jitna k sabhi fir bhi dar badar ki thokar hamari qismat mein kun likhi hai. Thokarein sirf is liye likhi hain kyunki ham muttahid nahi hain aur jabtak muttahid hokar ek mahaz ki shakal mein siyasi jung nahi ladenge tab tak hamari qismat mein thokare hi hongi.
Hamari qayadat mein kai partiyaa,n hai magar sab ek doosare ke saamne aapas me ladti hain jiska fayeda doosre utha rahe hain is liye zaroori hai k mahaz banakar ladai ladi jaye jisse taaqat ka bikhrao ruk sake.
Inhi baato ko madde nazar rakhte hue All India Muslim Mahaz banane ki zaroorat pesh aayi. AIMM mein koi bada leader nahi hai magar leader bada chhote se hi banta hai. Jamshed ji Tata janmjaat bade nahi the magar aaj Tata kahan hai woh kisi se chhupa nahi hai, Dhirubhai Ambani bachpan se crorepati nahi the zero se hi hero bane. Inhi ko misal banakar aaj ka muslim agar ek plateform par aata hai to Insha Allah aane wale dino mein satta mein bhaagidari, muslim Reservation, Shiksha mein ucch asthan yaani har jagah taraqqiya mil sakti hain.
Haa,n raah kathin hai, mushkile bahot aayengi magar jeet pakki hai. Hamari aainda naslein iska fayeda zaroor uthaayengi is liye aap muttahid hokar AIMM ke sath aayein aur ise kamyab banayein. Ismein na zaat ki ladai hai, na maslak ki ladai hai yahan aap apne apne maslak aur apni apni zaat par qayem rahte hue bagair kisi tafreek ke taraqqi ki raah par aage badte rahein.
AIMM Zindabad
Qaumi ekta Zindabad
Apka sathi
Khan Hamid Raza
No comments:
Post a Comment