Wednesday, 23 January 2013

Lucknow me waqf ki jaydad

Lucknow me waqf ki jaydadon per sarkari agencies wa waqfboard ki milibhagat se najayaz qabza ho raha hai, zahir hai Nawabon dwara waqf ki gayi zameeno ki qeemat caroron me hai, kabza hui waqf ki jaydadon ka byora is tarah hai Talkatora kabristan ki 6 beegha 14 biswa zameen U.P housing board ke kabze me 1976 se hai, isi board ne masjid 4 zaar Baba Turab Ali Shah Rajajipuram, par 1970 se qabza kar rakha hai, Alam Nagar ki masjid par 4 acar 55 dismil zameen par harijan wa samaj kalyan polytechnic ne awaidh qabza kar rakha hai, A.S.I ne masjid wa maqbara Nandan Mahal par3 beegha 14 biswa arazi par qabza kar rakha hai, Lucknow Vikas Pradhikaran ne Chitwapur qabristan ki 3 beegha 7 biswa zameen par 1975 se qabza kar rakha hai, BalRampur Hospital ne Takiya qabristan Golaganj ki 3 beegha 2 biswa zameen par qabza kar rakha hai, Lucnow Vikas Pradhikaran ne hi Dali Ganj ki masjid ki zameen par qabza 1983 se kar rakha hai Jal Nigam ne Shareefunnisa waqf ki zameen par 1985 se qabza kiya hua hai, Housing board ne Madeena masjid wa Alam Nagar qabristan ki zameen par 1986 se qabza kiya hua hai, King Jarj Medical collage ne kabristan ki 3 beegha se zyada zameen par 1980 se qabza kiya hua hai. source U.P sunni central waqf board .

No comments:

Post a Comment