Assalam o alaikum
Aap sabhi gadmanya dhanyavad ke patra hai jo Akhil Bhartiya Muslim Morcha safal banane hetu sangharshrat hain. Sarv shaktiman Ishwar aap sabhi ko nirbhay hokar ati pichhda tatha ati dalit muslim samaj ki seva karne ka saahas pradaan kare. Sath hi wah bhi dhanyavaad ke patra hain jinhone muslim peeda ko nikat se dekha tatha muslim na hokar bhi musalmano ka sath diya evam saath nibhane ki pratigya lee. yahan mai shabd ka prayog anuchit hoga isliye ham sabhi muslim samaj k log sabhi Dalit, Aadivasio, Jan jaatiyon, Pichhde varg evam anya alp sankhyako ko danyavaad dete hain tatha na kewal ham aajivan aabhari honge apitu hamari bhavishya ki pirhiyaan bhi unki aabhaari rahengi.
Dhanyavaad ke paatra wah bhi hain jo desh ke aantarik bhaago,n se is samaj ki seva gantabya tak na pahunch kar bhi kar rahe hai, dhanyavaad ke patra wah bhi samooh hai jo videsho mein sevaarat hote hue bhi sangathan ke daaittyo ko hriday se nibha rahe hain. Spasht hai jo log sangthan ke liye brihann Mumbai me rahkar seva de rahe hai unhein kis prakar nakaara ja sakta hai.
Aaiye Ham sabhi apne is sangathan (Akhil Bhartiya Muslim Morcha / AIMM)ko aakaash ki unchaaio tak le jaane ki shapath lete hain tatha Bharat ke is muslim samaj ke utthaan ke liye hriday se sahyog karte hain.
Dhanyavad
Khan Hamid Raza

No comments:
Post a Comment