purani peedhi ko
hamne apne desh
me bashane me
madad kiye aur
ab aulad ko
desh nikala karna
durust hai kya ?
jis tarah 1947 me bharat Pakistan batware me lakho
Pakistanio ke liye hamne apne darwaze khol diye thye usi tarah 1971- me
Pakistan aur bangla desh batware me
bhi hamne bangla deshio ke liye apne dawaze khol diye
they is karan dono samay me lakhon, log bharat me aakar bash gaye aur unki madad ke liye ham sab se
surcharge bhi wassula jata raha.
bharat sarkar ne unke rahne ki izazat to dedi magar woh
yahan kitne din aur kis tarah rahege yah
nirdhati nahi kiya tha
RSS us samay kya
kar rahi thi jab congress unki mehman
nawazi kar rahi thi aur is galat faisle
ko hone kyun diya us samay uske khilaf
andolan kyun nahi kiya tha.
bangla desh
unhe wapas lene ko tayar
nahi unhe apna
nagrik manne ko
tayar nahi woh log jaye to jaye kahan ?
is baat ko 65 aur
40 saal ho gaye aane wali pidhi ki umar
puri ho gayee ,unke bachche yahi par apni dunya
bashali woh sabhi log apne aap ko
bhartye manne lage hain.
ab agar unhe wapass
bhejna hai to bharat sarkar aur bangla desh sarkar dono milkar tai Karen ke unki wapasi kaise ki
jaye aur
unhe kaise bashaya jaye ?
bharat ka aam
musalman nahi chahta
ke woh Pakistani
ya Bangladeshi bharat me
ghuspeth kare,
agar woh
log ghuspeth karte
hain to unko
rokne ke liye
hamare haath me
kausa desh ne
kausa adhikar diya ?
agar siyasi partiyan
apna vote bank unhe
bana chahti hain to
bharat ka musalman
kya kar sakta
hai usme uska
kya kashoor hai
jo partiyan apna
vote bank banana
ke liye ghuspitye la
rahin hain to
unka chunavi byocat
karna chahye.
Agar bharat sarkar
ghuspithye ki pahchan
karke deti hai
to bharat ka
musalman unko bahar
karne me sahyog
dega
Bangladeshi
ke naam par
jo dhinga masti
ho rahi hai
woh dekhkar to
aisa lagta hai ke koyee
sarfira mere ghar
par aakar bharatye
hone ka saboot
mange ga
No comments:
Post a Comment