Dosto mandir masjid ki siyasat bahot ho chuki
hame kya mila, siwaye danga, fasad, maar kaat aur loot pat gareebi,
mahangayi wa atankwad ke maze kaun le raha hai ? Sangh pariwar aur Nehru
Pariwar baki to unke ishare per naach rahe hain kathputli ban ker,
Ajmoddin Sheikh sahab, Mohd Atique sahab, Alam A Waris sahab, Mohsin Shk
sahab bahot ho chuki jazbati naro ki siyasat ab to taameeri siyasat ki b
aat
karo, jazbati siyasat se ham Nort India ke musalmano ka sab se zyada
nuqsan hua hai, ham her field me bahot peeche choot gaye , ibadat ke
liye na mandir ki kami hai aur na masjid ki , aur jo vivadit masle hain
un per court me muqadma jari hai use dekhne wale bhi bahot hai to kya
zaroori hai ki poori qaum bas isi mudde per uljhi rahe aur aage ki na
soche, aaj desh ka batwara inhi jazbati siyasat ke nateeje me na hua
hota to kahani kuch aur hoti, musalman bhi siyasat me, prashasan me,
shasan wa tijarat me her jagah barabari per hota per Jinna sahab phans
gaye Jawahar Lal Nehru ke jaal me aur brahmanwadi siyasat kamyab rahi
desh haar gaya aur batware ke nateeje me aaj tak do bari qaume aapas me
lar rahi hain, zahar ghola ja raha hai aur sazish kerne wali takaten
maza le rahi hain siyasat wa satta ka kabhi B.J.P To kabhi Congress inhi
dono ka raaj hai desh me , noora kushti chal rahi hai, aam admi ko kisi
se koi fayda nahi kisi ki sarkar ho policy me koi badlao nahi, wahi
mahangayi, wahi ashanti, wahi atankwad, wahi gareebi, wahi
bharashtachaar wa lootpaat, to ayiye in bato per bhi soche kuch positive
kare.
Azhar Shamim.
No comments:
Post a Comment