Ye Bharat hai.
Manuvaadi aur brahmanwadi logo ne Musalmano ke khilaf ghatiya maansikta ka zahar mukammal taur se bhar diya hai. Is zahar ko rago mein dauraane ka kaam yahan ki hukmaran siyaasi parties ne RSS ke ishaaro par kiya hai. Yahan

tak
k Bharat ka media bhi musalmano ka naam aate hi kesaria bhagwa kas leta
hai aur adaalat k faisle ki baat chhoriye adaalat tak muqadma pahunchne
se pehle hi faisla suna deta hai.
Agar ek bhi muslim giraftaar hota hai to har neta aur har News channel sirf 5 minute mein uske zulm ya manghadhant zulm ke aaghaz se anjam tak ki kahani suna dete hai woh bhi kisi pukhta jankari ke bagair. Jahan muslim naam aya k suniyojit dhang se logo ke saamne atankwadi ki ratt chalu ho jati hai aur giraftar hone se pehle hi apna faisla suna deti hai aur us muslim ko atankvadi ghoshit kar diya jata hai aur RSS k ishaaro par Bharat ki awaam ke zehan mein musalmano ke khilaaf zahar ugalna apna param kartabya samajhti hai ye media. Magar jab Bhagwa aatankwadi pakda jata hai to use Param Rashtra bhakt ghoshit karne mein bhi der nahi lagti jaise aatanki colonel Purohit ko aajkal rashtravadi saabit karne mein political parties apni quwwat ka bharpoor istemal kar rahi hain.
Misaal k taur par kahna chahoonga k Mukhtar Ansari saheb MLA Mau ke khilaaf netaaon aur media ne itna zahar ugla k adaalat ke faisle se pehle hi woh mujrim ho gaye magar UP ke purvaanchal k sabse bade badkirdar aur gunde ko Prushottam Ram ji ka 5va autar aur param rashtra bhakt bana diya gaya hai kyunki woh musalmano ke khilaf zahar ugalta hai. Kya yahi hai Dharm nirpeksha aur gut nirpeksha Bharat k hukmaraano ka insaaf?
Azhar Shameem bhai ne India Today ki post par ek comment kiya hai jo qaabil e taareef hai. Comment ye hai " Afzal guru doshi saabit hota hai to zaroor faansi dein lekin sirf Musalman hone ki buniyaad par faansi ki maang karna Be Imaani hai. Aakhir Narendra Modi, Maya Kodnani, Babu Bajrangi, Sadhvi Pragya Singh, Asimanand, Dayanand Pandey aur Col. Purohit ko kab faansi par latkaya jayega ya Hindu hone ki wajah se ye Hindutwa ka hero banke ghoomenge ".
Wallah Aalam Bissawaab
Apka sathi
Khan Hamid Raza

No comments:
Post a Comment