Friday, 14 December 2012

Chaar maslak to barhaq hai.

Chaar maslak to barhaq hai.
Na to ise khatm kiya ja sakta hai aur na hi ek kiya ja sakta hai waise hi 73 firqe muslim mein hain woh bhi kabhi ek nahin ho sakte.
Magar siyasi maslak to ek hi hai. Jab maamla muslim ka aata hai to sirf muslim

ka hota hai na to ahle sunnat ka, na to deoband ka, na ta qadiyani ka, na to ahle hadees ka, na to shia ka, na to kisi frqe ka hota hai. Bharat sarkar sirf musalmano ke sath be imani kati hai kisi khaas firqe ke sath nahin.

Siyasat k naam par hamein ek hona chahiye taki puri qaum ko fayeda mile.

Rahi maslak ki ladai to woh 1435 saal se ladi ja rahi hai aur qayamat tak jari rahegi kyonki ye Nabi PBUH ka farman hai k ummat e Mohammadia PBUH 73 firqon mein bat jayegi. Ham musalman hain aur hamein mukammal yaqeen hai k hamare Nabi PBUH sacche aur Unka qaul saccha.

Ye hamari zaati ladai hai jiska fayeda doosre utha rahe hain. Waqt aa chuka hai k ham hosh mein aayein aur doosro ko fayeda uthane ka mauqa na dein.

Aaiyr azm karein k aaj se ham apne ghar ki ladai ko ghar tak hi mahdood rakhein aur aalami satah par yakjehti ka namoona pesh karein taaki hamari aane wali naslein fayeda uthayein.

Khan Hamid Raza

No comments:

Post a Comment