Tuesday, 25 December 2012

3 % barahman me kuchh to siyasi khoobi hongi



Loktantra (zamhuriat)me 49 aur51 ka aakda kaam karta hai jiske pass 51 log honge wo lok sabha,vidhan sabh me baithkar kanun banayega, jinke paass 49 log honge wo delhi me jantar mantar aur Mumbai azad maidan par baithkar dharna andolan karega.

Hindu O.B.C,tum kam se kam 43 % ho, tum tadad me sabse jiyada ho fir desh par tumhara control kyun nahi hai ? agar tum 8 % log ko apne saath lane me kamyab ho jao to desh ke lok sabha,vidhan sabh me baithkar kanun banao ge aur desh par control tum karoge.

S.C . S.T tum 22 % ho, tum desh ke tadad me dusre no par ho fir desh par tumhara control kyun nahi hai ?. agar tum 29 % log ko apne saath lane me kamyab ho jao to desh ke lok sabha,vidhan sabh me baithkar kanun banao ge aur desh par control tum karoge.

Musalman tum 17 % ho. tum desh ke tadad me teesre no par ho fir desh par tumhara control kyun nahi hai ? agar tum 34 % log ko apne saath lane me kamyab ho jao to desh ke lok sabha,vidhan sabh me baithkar kanun banao ge aur desh par control tum karoge.

3 % barahman  me kuchh to siyasi khoobi hongi jo logon ko apne saath lane me kamyab rahta hai aur 51 ka aakda poora kar leta hai aur lok sabha,vidhan sabha me bahith kar poore desh ko control karta hai.

Hindu O.B.C. Musalman, S.C . S.T,aap log aksar zazbat aur josh me rahte ho,Jis din tum bhi zazbat ko chhodkar hosh me kaam karoge us din desh par control tumhara hoga.

No comments:

Post a Comment