Beshak Allah Razzaq hai magar ye bhi haq hai k is qaum par mann o salwa nahi utrega.
Har insan ko apne haq ki ladai k liye qadam barhana hi padega. Agar ham apne haq k liye alag alag niji taur se baat karenge to haq ki jagah bheekh hi mile

gi.
Aur agar mahaz ki tashkeel karke apne haq o haqooq ki ladai ladi jaye to puri generation ko iska fayeda milega aur hamare baccho ki nayi paudh aur aane wali generation iska mukammal fayeda uthayegi aur is ladai ladne walo ko faraamosh nahi kar payegi.
Ab waqt aa chuka hai k ham apni awaz ko buland karein aur gar ye andhi bahri sarkarein na sune to saadak par bhi utarna hoga apni next generation k liye.
Koi bhi inqalab fauri fayeda nahi pahunchata magar jab fayeda milta hai to sadiyan yaad rakhti hain.
Aaj hamein ek hona hi hoga sunahre mustqbil k liye.
Agar ab bhi ham nahi jage to hamari aainda naslein hamein muaaf nahi karengi.
Aaiye apne islami jazbe ko bedaar kijiye aur qanoon ke daayere mein apni maango ko goongi bahri sarkaron k saamne itni mazbooti se rakhein k siyasi galiyaaron mein halchal si mach jaaye.
Khan Hamid Raza

No comments:
Post a Comment