Friday, 14 December 2012

aaj sari dunya jis mulk ko jis mulk ki trakki ko dekh rhi hai woh bharat hai

aaj sari dunya jis mulk ko jis mulk ki trakki ko aadar aur samman ke sath dekh rhi hai woh bharat hai log kahte hain k bharat me sab kuchh milta hai, ji han humare pass sab kuchh hai lekin hume ye kahte hue sharm aati hai afsos hota hai ki humare pass imandari nhi hai humare rojmarra ki jindgi me bharastachar kitni gahrai tak utar chuka hai aur kis trah se be-imani ek rastriye majboori ban kar hum
ari nso me sama chuka hai.
jurm wardat na-insafi be-imani bharastachar nai posak pahan kar ek bar fir humare dil per dastak de rha hai, rago me lahu ban kar utar chuka hai bharastachar ka cancer aakhri opration ki mang kar rha hai,hukumat ki rotiya senkne wale bharast netaon ke mustaqbil ka faisla awam karna chahti hai ye gussa ek misal hai ki hajaro mombatya jab ek maksad ko ek sath jal uthti hai to bharat par yakin aur badh jata hai be-iman siyasat ke na khatm hone wale is dangal me akidat aur imandari dono thak kar chur ho chuki hai magar fir bhi be-iman netaon, mantriyo, afsaro, aur babuwo, ki besharmi ko dekhte hue ladna majboori hai.

Atiq Ahmed Saudi

No comments:

Post a Comment