Globalization aur samaaj ke
badaltey parivesh mey balatkaar aur yaun-shoshan jaisi ghatnaaye badhti hi jaa
rahi hai.
Dono hi ghatnaao ko alag thalag kar key nahi dekha jaa sakta hai .Ye ek sikkey ke do pehlu hai. Jaha blaatkaar balpoorvak stri-apmaan ki parakaastha hai tp wahi youn-shoshan stri ki aarthik aur bhaavnaatmak roop se majboor karkey apmaan ki parakaastha.
Satya to yahi hai ki stri ek dhan ke samaan hi hai. jiski suraksha ati aavashyak hai. Stri ki laalsa se rishi muni aur saadhu sanyaasi bhi achootey nahi rahey hai. Aur ye sirf avsar praapti pe nirbhar karta hai.
Bharteeya sanakriti , paaschatya sabhyata ke andhadhund anusaran ke liye bilkul bhi upyukt nahi hai. Paashchatya samaaj mey unnmukt yaun sambandho ke chaltey balatkaar jaisi ghatnaaye kam hoti hai kyoki tab uski aavshaykta hi samaapt ho jaati hai .
Aaj naari ki sammaj mey badhti bhaagidaari aur uska aakarshak uttejak pehnaava, swachanda aachran ,boyfriend ki laalsaa aur live in relationship Jaisey ghatiya jeevan shaili kaafi had tak jimmedaar hai. Paridaamswaroop samaaj mey kuntha badhi hai par bhugatna aurat ko hi padta hai.
Cinema aur media ney bhi samaaj ki aisi taisi kar rakhi hai. Sunny Leon jaiso ko media uchaal uchaal kar dikhata hai aur aajtak news to porn ka adda ban chuki hai. Antarang sambandho aur nagn tasveerey dikha kar ye samaaj se kya ummed rakhtey hai?
Aur ant mey police aur prashashan ki susti aur nyaay ki durbalta naari apmaan ki sharankhala mey aakhiri keel thok deti hai.....
Balaatkaari ke liye kadi saja ka pravdhan to hona hi chahiye parantu samaaj ko maryaadit aur sanskaari bhi hona padega anytha kuch nahi honey waala....

No comments:
Post a Comment