Saturday, 15 December 2012

Media aur Musalman

¤ Nazm e maikhana badal sakta nahi ¤

¤ Jab talak saaqi na badla jayega ¤

Media aur Musalman

Ye Bharat hai jahan Manuvadi aur Brahmanvadi maansikta ne musalmano k khilaf ghatiya maansikta ka zahar mukammal taur se bhar diya hai aur is zahar ko aam Bhartiya nagriko ki rago mein daudaane ka kaam yahan ki sattadhaari rajneetik partiyo ne RSS k ishaare par kiya hai. Yahan tak k Bharat ka swaksh kaha jaane wala media bhi musalmano ka naam aate hi bhagwa kas leta hai aur adalat ke faisle ki baat chhoriye adalat tak muqadma pahunchne se pehle hi faisla suna deta hai.

Ek bhi Muslim agar giraftaar hota hai to har neta, har News channel aur sabhi Print media sirf 5 minutes mein bagair kisi pukhta jankari k , muslim naam aate hi, use aatankwadi ghoshit kar deta hai aur RSS k ishaaro par Bharat ki awaam ke zehan mein musalmano k khilaaf zahar bharna aur ugalna shuru kar deta hai magar jab bhagwa aatankwadi pakda jata hai to use Rashtravadi ghoshit karne mein der nahi lagata hai. Jaise Col. Purohit ko rashtrawadi ghoshit karaane aajkal sarkar apni poori taaqat aur quwwat ka istemaal kar rahi hai.
Misaal ke taur par kahoonga k Mukhtar. Ansari - MLA Mau, ke khilaaf netaao aur media ne itna zahar ugla k adaalat ke faisle se pahle hi woh mujrim ho gaye magar Purvaanchal ke sabse bade badkirdar aur gunde Adityanath ko isi media aur sarkaro ne Prushottam Ram ji ka chautha avtaar bana diya. Kya yahi hai insaf ka nizam

Afzal guru maamla abhi zer e samaaat hai magar faisle se pahle hi faansi ki maang kya be imaani aur pakshapaati nahi hai? Kya media aur RSS nyayaalay ko apne rang mein poori tarah rangna chahti hai?

Azhar Shamim bhai ne india today ki ek post par jo likha woh qaabil e taareef hai. Wah likhte hai "Afzal Guru doshi saabit hota hai to use zaroor faansi dein lekin sirf musalman hone ki buniyaad par faansi ki maang karna beimaani hai. Aakhir Narendar modi, Maya kodnani, Babu bajrangi, Sadhwi pragya singh, Asimanand, Dayanand pandeyaur col. Purohit ko kab faansi par latkaya jayega ya Hindu hone ki wajah se ye Hindutwa ke hero banke ghoomenge."

Musalmano, dalit samaj ke logo, OBC awaam, Aadivasi aur deegar Minorities ke logo ab to jago aur media ,RSS aur sattadhari manuwadi evam Brahmanvadi taaqato ke khilaaf ek banner ke neeche aao aur apni khoi pratishta, pahchan aur apna haq lene ke apni taaqat ka ehsas kara do kyunki 2014 aapke intezaar mein rasta dekh raha hai.

Rss ka jawab ye nahi k ham ek rss jaisi gandi mansikta wala sangthan banakar is desh mein aur gandagi failaaye balki ham jagrook hokar aapas mein haath milakar yadi satta mein bhaagidari le lenge to apne aap rss ki haar hogi kyunki rss aur isi maansikta ke sabhi media ye kabhi nahi chahega ke aap jaage aur apni bhagidaari darj karayein.
Apko ek manch par laane ke liye aur apni siyasat apni qayadat mein karne ke liye hi All India Muslim Mahaz ka janam hua hai. Aap hamari taaqat hain aur aapki taaqat ke dam par ham ek naya itihas banana chahte hai.
Shukriya

Apka sathi

Khan Hamid Raza

No comments:

Post a Comment